2013-10-13

A take on - SHAYARI

Hme yad hai wo din, jb hmne unhe phli br apni inhi ankhon se dekha tha,
mahsus jo kia hmne us din wo sab ek dhokha tha,
pr kahaani kuch or hi thi,
wo ldki ni bala kuch or hi thi,
ladte the jhgadte the roj unse paglo ki trh,
hme kya pta tha ye ladai pyr m badl jayegi is trh,



pta ni kya psnd aya unme,
syd unki aankhe, ya ankho ka kajal,
syd unki hasi, ya hsne ki chalclahat,
syd unke hoth, ya hotho khilkhilahat,
syd unke bate, ya batiyane ka tarika,
syd chal unki, ya pta ni,
pta ni kya psnd aya itna unme, pta ni....



Aj is kadar khfa h hm unki mohhabat me,
tadpte hai raat bhar unki yad me,
Thodi bachkani si harkarte hai unki,
thodi pyari si bate hai unki,
Gusse mein ati hai to JABRAT lgti hai,
Pyar krti hai to BAWAl lgti hai,
Aab us Pagli Ladki Ke Bin Jeena Gaddari Lagta Hai,
Aur Us Pagli Ladki Ke Bin Marna Bhi Bhari Lagta Hai.


ye jindagi hame kis mod par le aayi hai
hamare dil mein bhi pyar ki umag umad aayi hai
cahate hai hum jise tahe dil se,
koi bataye unhe, hamane dil mein unhi ki murat banayi hai.


hum apni mohhabat  ka ishar khule aam kiya nhn karte,
mohhabat ka ye jam hum dikha kar piya nhn karte,
jo ki na hoti mohhabat humne ai mere humdum,
to mohhabat jaise shabdoon ka prayog hum kiya nhn karte.


pucha jo sawaal dil se  naam unhi ka aaya,
dhadkan ne bhi geet unhi ka gungunaya,
socha khuda ko yaad kar lu pal do pal,
par laboon pe naam bhi unhi ka aaya.


dil mein hai jo baat, hum unhe kah nhn sakte
door chalye jaye wo, yeh hum sah nhn sakte,
dar hai rushwah na ho jaye jindagi hamari,
jindagi woh hai hamari unke bina hum rah nhn sakte.


Khoyi si aankho  me sapna aapka saja liya,
Aarzoo me aapki chahat ko basa liya,
Dhadkan bhi na rahi zaruri hamare liye,
Jab se dil me aapko basa liya.


har ek din, har ek rat me teri yaad aati hai
namak aankhon me ghul jaane me teri yaad aati hai
tere shone se mukhde ko kya maloom ai mere humdum
samundaar paar, viraane me teri yaad aati hai.


socha tha wo tut k cahengey hame,
lekin caha b hmne or tute b hum.

No comments:

Post a Comment